公開済み 3 時間 前に他の

Hum Ko Bulana Ya Rasool Allah

  • 0
  • 0
  • 0
  • 0
  • 0
  • 0

Hum Ko Bulana Ya Rasool Allah ہم کو بلانا یا رسول اللہ ﷺ | Beautiful Naat | Raja Azhar Official Experience the beautiful and emotional naat “Hum Ko Bulana Ya Rasool Allah ﷺ 🤍” by Azhar Raja Official a heartfelt tribute expressing deep love for the Prophet ﷺ and the longing to visit Madina Munawwarah 🌙 https://www.youtube.com/watch?v=yfsKCP_gE10

#

歌詞

"Hum Ko Bulana Ya Rasool Allah"

'Hum ko bulana Ya Rasool Allah, Hum ko bulana Ya Habeeb Allah'

'Kabhi to sabz gumbad ka ujala hum bhi dekhen gey'

'Humai(n) bulwaei(n) gey aaqa madina hum bhi dekhen gey'

'Hum ko bulana Ya Rasool Allah, Hum ko bulana Ya Habeeb Allah'

'Dharak uthay ga ye dil ya dharakna bhool jaye ga'

'Dil e bismil ka us dar par tamasha hum bhi dekhen gey'

'Humai(n) bulwaei(n) gey aaqa madina hum bhi dekhen gey'

'Hum ko bulana Ya Rasool Allah, Hum ko bulana Ya Habeeb Allah'

'Adab say haath bandhay unke rozay par kharay hon gey'

'Sunehri jaaliyon ka yu(n) nazaara hum bhi dekhen gey'

'Humai(n) bulwaei(n) gey aaqa madina hum bhi dekhen gey'

'Hum ko bulana Ya Rasool Allah, Hum ko bulana Ya Habeeb Allah'

'Dar e dolat se lotaya nahi jata koi khaali'

'Wahan khairat ka batna khudaya hum bhi dekhen gey'

'Humai(n) bulwaei(n) gey aaqa madina hum bhi dekhen gey'

'Hum ko bulana Ya Rasool Allah, Hum ko bulana Ya Habeeb Allah'

'Barasti gumbad e khazra pe takraati hui boondei(n)'

'Wahan par shaan se baarish barasna hum bhi dekhen gey'

'Humai(n) bulwaei(n) gey aaqa madina hum bhi dekhen gey'

'Hum ko bulana Ya Rasool Allah, Hum ko bulana Ya Habeeb Allah'

'Guzaray raat din apnay isi umeed pr hum ne'

'Kisi din to Nabi ka piyara roza hum bhi dekhen gey'

'Humai(n) bulwaei(n) gey aaqa madina hum bhi dekhen gey'

'Hum ko bulana Ya Rasool Allah, Hum ko bulana Ya Habeeb Allah'

'Dam e rukhsat qadam man bharke hain mehsoos kartay hain'

'Kise hain jaake lotanay ka yaara hum bhi dekhen gey'

'Humai(n) bulwaei(n) gey aaqa madina hum bhi dekhen gey'

'Hum ko bulana Ya Rasool Allah, Hum ko bulana Ya Habeeb Allah'

'Pohnch jayen gey jis din ae ujagar unke qadmoo(n) main'

'Kise kehte hain jannat ka nazaara hum bhi dekhen gey'

::
/ ::

クリア